Ads 468x60px

Social Icons

Tuesday, 9 August 2011

Arz kiya hai………

Boss:

Arz kiya hai………

Office may Kaam hote hain…
Galtiyon ka sama hota hai….
Aise mausam mein hi to PERFORMANCE jawan hota hai….
Dil ki khunnas BOSS jabaan se nahi kehte…
Ye fasana to appraisal mein bayan hota hai…. J J J ……

Employee’s reply…

Arz kiya hai………
Appraisal hote hain…
Disappointment ka sama hota hai…
Aise mausam mein hi to Attrition jawan hota hai….
Dil ki khunnas HUM jabaan se nahi kehte…
Ye fasana to resignation se bayan hota hai….

Funny Hindi Poem

Engineer Woh Hai Jo Aksar Phasta Hai
Interviews Ke Sawaal Mae
Badi Companiyon Ki Chaal Mae
Boss Aur Client Ke Bawaal Mae

Engineer Woh Hai Jo Pak Gaya Hai
Meetings Ki Jhelai Mae
Submissions Ki Gehrai Mae
Teamwork Ki Chatai Mae

Engineer Woh Hai Jo Laga Rahta Hai
Schedule Ko Failane Mae
Targets Ko Khiskaane Mae
Roz Naye-Naye Bahane Mae

Engineer Woh Hai Jo
Lunch Time Mae Breakfast Karta Hai
Dinner Time Mae Lunch Karta Hai
Commutation Ke Waqt Soya Karta Hai

Engineer Woh Hai Jo Pagal Hai
Chai Aur Samose Ke Pyar Mae
Cigeratte Ke Khumar Mae
Birdwatching Ke Vichar Mae

Engineer Woh Hai Jo Khoya Hai
Reminders Ke Jawaab Mae
Na Milne Wale Hisaab Mae
Behtar Bhavishya Ke Khwaab Mae

Engineer Woh Hai Jise Intezaar Hai
Weekend Night Manane Ka
Boss Ke Chhutti Jaane Ka
Increment Ki Khabar Aane Ka

Engineer Woh Hai Jo Sochta Hai
Kaash Padhai Pe Dhyaan Diya Hota
Kaash Teacher Se Panga Na Liya Hota
Kaash Ishq Na Kiya Hota

Aur Sabse Behtar To Ye Hota
Kambakht Engineering Hi Na Kiya Hota……

Phir bhi mujhe tujh se zindagi

kabhi palkon pe ansu hain kabhi lab pe shikayat hai,
magar ay zindagi phir bhi mujhe tujh se muhabbat hai,

jo aata hai wo jata hai, ye duniya aani jaani hai,
yahan har shay musafir hai safar mein zindagani hai,
ujalon ki zarorat hai, andheera meri qismat hai,
magar ay zindagi phir bhi mujhe tujh se mohabbat hai,

zara ay zindagi tham le tera dedaar tu kar lon,
kabhi dekha nahi jis ko osay main pyar to kar lon,
abhi se chor k mat ja abhi teri zarorat hai,
magar ay zindagi phir bhi mujhe tujh se muhabbat hai,

koi anjaan sa chehra ubharta hai fizaon mein,
ye kis ahaten jagi meri khamosh rahon mein,
abhi ay mout mat aana mera thikana jannat hai
magar ay zindagi phir bhi mujhe tujh se muhabbat hai

Toofaan Aankhon Mein

Na Jane Dhoondtay Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mein
Chupa Rakhay Hum Ne To Kai Toofaan Aankhon Mein

Kahan Woh Shokhiyan Pehlay Si, Ab Kuch Bhi Nahin Baqi
Chalay Aaye Ho Tum Kya Khojnay In Be-jaan Aankhon Mein

Kisi Ka Haath Lekar Haath Mein Jab Tum Mile Hum Se
To Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan Aankhon Mein

Na Samjho Chup Hain To Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi
Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan Aankhon Mein

Milay The Baad Muddat Ke Humain Tum Ajnabi Ban Kar
To Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon Mein

Nahi Ab Phir Se Koi Raabta Rakhne Se Kuch Haasil
Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankhon Mein…!

Latest Tricks Update