Engineer Woh Hai Jo Aksar Phasta Hai
Interviews Ke Sawaal Mae
Badi Companiyon Ki Chaal Mae
Boss Aur Client Ke Bawaal Mae
Engineer Woh Hai Jo Pak Gaya Hai
Meetings Ki Jhelai Mae
Submissions Ki Gehrai Mae
Teamwork Ki Chatai Mae
Engineer Woh Hai Jo Laga Rahta Hai
Schedule Ko Failane Mae
Targets Ko Khiskaane Mae
Roz Naye-Naye Bahane Mae
Engineer Woh Hai Jo
Lunch Time Mae Breakfast Karta Hai
Dinner Time Mae Lunch Karta Hai
Commutation Ke Waqt Soya Karta Hai
Engineer Woh Hai Jo Pagal Hai
Chai Aur Samose Ke Pyar Mae
Cigeratte Ke Khumar Mae
Birdwatching Ke Vichar Mae
Engineer Woh Hai Jo Khoya Hai
Reminders Ke Jawaab Mae
Na Milne Wale Hisaab Mae
Behtar Bhavishya Ke Khwaab Mae
Engineer Woh Hai Jise Intezaar Hai
Weekend Night Manane Ka
Boss Ke Chhutti Jaane Ka
Increment Ki Khabar Aane Ka
Engineer Woh Hai Jo Sochta Hai
Kaash Padhai Pe Dhyaan Diya Hota
Kaash Teacher Se Panga Na Liya Hota
Kaash Ishq Na Kiya Hota
Aur Sabse Behtar To Ye Hota
Kambakht Engineering Hi Na Kiya Hota……
Tuesday, 9 August 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment