muqaddar chhod de jisko zamana chhod deta hai
khiza mein har parinda ashiyana chhod deta hai
samajh le lag rahi apni buniyaad mein dimak
padosi jab kabhi nazrein milana chhod deta hai
zamane bhar ki taqreerein asar mujh par nahi karti
magar ek lafz tera ek fasana chhod deta hai
hazaron koshishiyein karke use hum bhool paye hai
roz khidki mein koi khat purana chhod deta hai
zamane bhar ki talwarien jhuki aati hai kadamon pe
koi bankar ke jab koi apna ghar aana chhod deta hai
Thursday, 21 July 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
cool one...awesome
ReplyDelete