Ads 468x60px

Social Icons

Sunday, 24 July 2011

Ye Meri khamoshi...

ye khayal,
ye tumhara intezar,
ye ruki ruki baatein,
ye thodi thodi chahatein,
ye majboori,
ye doori,
ye dillagi,
ye dilkashi,
ye deewanapan,
ye akelapan,
ye sochna,
ye samjhna,
ye dekhna,
ye chehre ka sharma jana,
ye ankhon ka bhar jana,
ye mausam ka chala jana,
ye dhadkano ka ruk jana,
ye baaton ka badal jana,
ye saanso ka thehar jana,
ye saara sansar,
ye tumhari saans,
ye mera ehsas,
kaash tum yahan hote,
mere nahi to mere liye
kuch to hote,,
aur ab......
hai bs,
ye akela mein,
or,
ye meri khamoshi...................;( ;(

Poetry Written by Hrsha Sharma

Tum adhuri baat sunkar chal diye

Tum adhuri baat sunkar chal diye..

Tum adhura sath hokar chal diye


Jo kaha tha maine ab tak..

Ankaha uss-se adhik h..


Jo suna h tumne ab tak..

Ansuna usse adhika h..

Me tumhari or meri hi kahani likha rahi thi..


Waqt ne jo ki ti muzhpe maharbaani likh rahi thi..

Aankhe meri anthh tak padhte to ye maalum hota..

Me tumhaare naam apni zindgaani likh rahi thi..

Tum adhuri baat sunkar chal diye

Poetry Written by Jaya Rathi

Hazar baar leharo ne dhamkiya di h

Moti nikaal diye riktt sipiya di h..

Har ek shaksh ne muzhe mokhik tashaliya di h…


Mere kate hue pankho ko dekhakar ..

Udaan bharne ke liye muzhe sabne chunotiya di h..


Samay ne saal mahino ne chiin li duniya..

Aavaj me faadkar lamho ki parchiya di h…


Me wo diya hu jo buzha nahi ab tak…

Hazar baar leharo ne dhamkiya di h..

Hazar baar leharo ne dhamkiya di h…

Poetry Written by Jaya Rathi

Pehale Pehale Pyar Me

Aankho me fagun ki masti,palko par basanti halchal.

Matwala man bheeg raha h Bundo ke tyohaar me…

Shyad aaisa hi hota h pehale pehale pyar me….


Pairo ki payal chanki kangan khanka …
Har aahat par chook chook jaana man ka…
Saanso ka deharii chuu –chuu kar aa jaana..
Darpan ka khud darpan se hi sharmana..

Or dhadakna is dhadkan ka….
Sapno ke sansaar me…

Shyad aaisa hi hota h pehale-pehale pyar me…

Bhang chadhkar boharaya baadal dole…
Nadiya me do paav hile hole-hole..
Pehali-pehali baar koi nanhi chidiya..
Ambar me udne ko apne par khole…

Hichkole khati h naiya ….
Masti se mazhdaar me..

Shyad aaisa hi hota h pehale-pehale pyar me…

jin pairo me uchla karta tha bachpan..
kaisi baat hui ki badal gaya darpan..
hota h unmukt anokha ye bandahan..
room-room pooja sanse chandan-chandan…

bin maange sab kuch mil jaata…
aankho ke vyapaar me…

shyad aaisa hi hota h pehale-pehale pyar me…

Poetry Written by Jaya Rathi

Saturday, 23 July 2011

Zindagi hai choti , har pal mein khush raho…

Zindagi hai choti , har pal mein khush raho…

Office me khush reho, ghar mein khush raho..

Aaj paneer nahi hai, daal mein hi khush raho,

Aaj gym jane ka samay nahi, do kadam chal ke he khush raho..

Aaj Dosto ka saath nahi, TV dekh ke hi khush raho..

Ghar ja nahi sakte to phone kar ke hi khush raho…

Aaj koi naraaz hai, uske iss andaz mein bhi khush raho..

Jisse dekh nahi sakte uski awaaz mein hi khush raho...

Jisse paa nahi sakte, uske yaad mein hi khush raho...

MBA karne ka socha tha, S/W mein he khush raho..

Laptop na mila to kya, Desktop mein hi khush raho..

ache pal ja chuke to kya, unki meethi yaadon me hi khush raho..

aane wale pal ka pata nahi..sapno mein hi khush raho..

Haste haste ye pal bitaenge, aaj mein hi khush raho,
Zindagi hai choti , har pal main khush raho….

Friday, 22 July 2011

Ashq Aankhon Mein Hi To Aate Hain

Jisse Ho Pyaar Be Intehaa Aksar
Us Ka Hi Dil Bahut Dukhaate Hain
Yeh Haqiqat Hai Maan Lo Iss Ko
Ashq Aankhon Mein Hi To Aate Hain

Kitnaa Mushkil Hai Baat Woh Kehnaa
Jis Ka Ehsaas Itnaa Aasaan Hai
Tujh Se Hai Ishq Khush Kismati Meri
Yeh Mere Sar Pe Aasamaan Saa Hai

Benazir Noor Apani Chaahat Hai
Mujh Ko Aabaad Kar Rahi Hai Yeh
Yehi Taaqat Hai Yehi Kamzori
Mujh Ko Aazaad Kar Gayi Hai Yeh

Koi Taahbir Ki Naa Koshish Ki
Khud Ba Khud Chha Gayi Thi Shabanam Si
Ek Sangat Hai, Ek Bandish Hai
Dosti Apani Hai Tarnnum Si

Paanch Das Bees Saal Guzarein To
Saath Aise Hi Barqaraar Rahe
Apane Dukh Dard Apane Darr Baantein
Ho Bharosaa Ke Apanaa Pyaar Badhe

Muskuraahat To Baantte Hain Sab
Gham Mein Bas Dost Paas Aate Hain
Yeh Haqiqat Hai Maan Lo Iss Ko
Ashq Aankhon Mein Hi To Aate Hain

Ab kya likhen

Ab kya likhen kaghaz par,
Ab likhne ko kiya baqi hai,
Ik dil tha woh toot gaya,
Ab totne ko kiya baqi hai,
Ik shakhs ko ham ne chaha tha,
Ik rait pe naqsh banaya tha,
Woh rait to kab ki bikhar gai,
Woh naqsh kahan ab baqi hai,
Ham jin ko apni nazmon ka,
Unwan banaya karte they,
Lafzon ka bana k taj mehal,
Kaghaz par sajaya karte they,
Woh ham ko akela chor gaye,
Sab rishton se muh mod gaye,
Ab raste sare soney hain,
Woh pyar kahan ab baqi hai,
Ab kiya likhen ham kaghaz par,
Ab likhne ko kiya baqi hai…

Nazar agar jhuki hai

Nazar agar jhuki hai toh acha hai sab ke liye
Nazar uthate hi bas yaar vo gunehgar se najar aate hai
Jhuki nazaro mein jo har dil ajij bane rahe sada
Nazar milate hi woh gaddar nazar aate hain
Unse nahi gila ki woh aise hai
Nahi hai koi shikwa ke woh kaise hai
Bas sochte hain jab apne rishte ke baare mein
Thake hue se hum yaar nazar aate hain
Jhuki nazro mein jo har dil ajij bane rahe sadda
Nazar milate hi woh gaddar nazar aate hain
Hota hai har aadmi ka apna ek najariya aur andaaj
Isi jariye se woh banata hai apni ek pehchaan
Isi pehchaan ke dum par woh bharta hai unchi uddaan
Udne wale aasma ke hi shikar nazar aate hain
Jhuki nazaro mein jo har dil ajij bane rahe sadda
Nazar milate hi woh gaddar nazar aate hain
Nazar agar jhuki hai toh acha hai sab ke liye

wo darde gam na jhele is liye

wo darde gam na jhele is liye muskan diye jata hu,
use jeena sikha sakoo is liye marne se ghabrata hu,
roshan ho uski raahe is liye ye shamma liye jata hu,
koi kuch ban ske is liye khud ko kurban kiye jaata hu!!

Ye zaraa mushkil hai

Wo din phirse laut aayen ye zaraa mushkil hai
Hum phirse muskurayen ye zaraa mushkil hai

Tum hamen bhool jao koi gila nahin
Hum tumhe bhool jayen ye zaraa mushkil hai

Shayad Khataa Huyee hai mujhse ya tumse
Ilzaam kispe lagaayen ye zaraa mushkil hai

Pukarta hai mera dil jo sun sako to suno
Awaaz de ke bulaayen ye zaraa mushkil hai

Dhoobataa hai meri ummeedon ka suraj arif
Roshni taaron se karen ye zaraa mushkil hai

Woh College ke din

Woh College ke din….

Kuch baate bhuli hui,
kuch pal beete hue,

Har galti ka ek naya bahana,
aur fir sabki nazar me aana,

Exam ki puri raat jagna,
fir bhi sawal dekhke sar khujana,

Mauka mile to class bunk marna,
fir doston k sath canteen jana

USKI ek jhalak dekhane roj college jana,
usko dekhte dekhte attendance bhul jana,

Har pal hai naya sapna,
aaj jo tute fir bhi hai apna,

Ye college ke din,
In lamho me jindagi jee bhar ke jeena,

Yaad karke in palon ko,
Fir jindagi bhar muskurana!

Bus Yehi hai zindagi

A
Aitbaar

B
Bharosa

C
Chahat

D
Dosti

E
Enayat

F
Faisla

G
Gham

H
Hamdam

I
Intezaar

J
Justuju

K
Khayal

L
Lamhye

M
Mohabat

N
Narazgi

O
Omeed

P
Piyar

Q
qismat

R
rishtye

S
samjhota

T
tamanna

U
udasiyan

V
virasat

W
wada

X
xcuse

Y
Yaden

Z
Zindagi

Zindagi in hi namon ka 1 naam hai
Bus Yehi hai zindagi

Thursday, 21 July 2011

muqaddar chhod de jisko zamana chhod deta ha

muqaddar chhod de jisko zamana chhod deta hai
khiza mein har parinda ashiyana chhod deta hai
samajh le lag rahi apni buniyaad mein dimak
padosi jab kabhi nazrein milana chhod deta hai
zamane bhar ki taqreerein asar mujh par nahi karti
magar ek lafz tera ek fasana chhod deta hai
hazaron koshishiyein karke use hum bhool paye hai
roz khidki mein koi khat purana chhod deta hai
zamane bhar ki talwarien jhuki aati hai kadamon pe
koi bankar ke jab koi apna ghar aana chhod deta hai

Jehen Dill Wich Pyaar

Jehen Dill Wich Pyaar Dii Ramz Na
Bas Oo Dil Kun Veeran Samaj

Jeku Payar Di Jan Sujhan Nai
Oo Banday Kun Nadan Samaj

Aehun Payar Ae Dars Waliyan Da
Ae Maslak Pak Nabiyan Da

Anmol Payar Di Dolat Ae
Aein Ku Uqba Da Saman Samaj

Aein Payar Di Khatir Arsh Banay
Aein Payar Di Khatir Farsh Banay

Oj Payar Khuda Wich Wasda Ae
Maien Sach Ahanda Aan Quraan Samaj

Na Chawan Payar Te Sokha Ae
Aiku Tor Nibhawan Ookha Ae

Kaye Raj Khichan Aienj Sooliyan Te
Kai Chardhay Nok Sanan Samaj

Aehun Payar Cha Rab Milwa Dehnday
Sutay Laiekh Naseeb Jaga Daienday

Jehein Dil Wich Payar De Dairay Hin
Bas Oo Dil Kon Irfan Samaj!!!

Har sohni cheez da malik tu

Har sohni cheez da malik tu,
kuch rob jeha vi rakhia kar,
din dhalda sanu vekhan de,
tu charda suraj takia kar,
ron nu asi bathere ha,
tu khid khid sohnya hasya kar

Farz karo...

Farz karo tum kuch na pao,
apna aap luta kar bhi,
Farz karo koi mukar hi jaye,
sacchi qasamein kha kar bhi,
Or, farz karo ye farz na ho,
sacchi eik haqeeqat ho,
Tere ishq ke har raste par,
jana eik qayamat ho,
Or suna hai ki ye qayamat,
khoon jigar ka peeti hai,
Tum to jana farz karoge,
mujh par ye sab beeti hai!!

Koi Deewana Kehta Hai

Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai
Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai
Mein Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai
Ye Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai
K Mohhabat Ek Ehsason Ki Pavan Si Kahani Hai
Kabhi Kabira Deewana Tha Kabhi Meera Deewani Hai
Yahan Sab Log Kehte Hain Meri Aakhon Mein Aansu Hai
Jo Tu Samjhe To Moti Hai Jo Na Samjhe To Pani Hai
Samander Peer Ka Aander Hai Lekin Ro Nahi Sakta
Ye Aansu Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahi Sakta
Meri Chahata Ko Dulhan Tu Bana Lena Magar Sun Le
Jo Mera Ho Nahi Paya Wo Tera Ho Nahi Sakta
Bharar Koi Kumudani Par Machal Baitha To Hungama
Hamare Dil Mein Koi Khawab Pal Baitha To Hungama
Aabhi Tak Doob Kar Sunte The Sab Kissa Mohhabat Ka
Mein Kisse Ko Hakikat Mein Badal Baitha To Hungama

Main aadmi hoon aam sa

Main aadmi hoon aam sa
ek qissa natamam sa
na lehja bemisaal hai
na baat mein kamaal hai
hoon dekhney mein aam sa
udasiyon ki shaam sa
jaisy ek raaz hoon
khud se beniaz hoon
na mehjabinon se rabt hai
na shohraton ka zabt hai
ranjha na qais hoon
Insha na Faiz hoon
main paiker-e-ikhlaas hoon
wafa dua aur aas hoon
main shakhs khud shanaas hoon
tum hi karo ab faisla
main aadmi hoon aam sa ya phir bahut hi khaas hoon…?

Dosto Duniya Gol hai

Zindagi Hai To Khwaab Hai
Khwaab Hai To Manzilein Hai
Manzilein Hai To Fasaley Hai
Fasaley Hai To Rastey Hai
Rastay Hai To Mushkilein Hai
Mushkilein Hai To Hausla Hai
Hausla Hai To Vishawas Hai
Vishvas hai to Paisa hai
Paisa hai to Shohrat hai
Shohrat hai to Izzat hai
Izzat hai to Ladki hai
Ladki hai to Tension hai
Tension hai to Concern hai
Concern hai to a Khayaal hai
Khayaal hai to Khwaab hai
Khawab hai to Growth hai
Growth hi to Zindagi hai
Matlab duniya Gol hai!!

Wednesday, 20 July 2011

Ankhon Ke Aasun!!!!!!

In aankho me aansu aaye na hote,
tum jo peeche mud kar muskuraye na hote,

chale gaye zindagi se yun kuch bhi na bolkar,
keh dete to yun sapne sajaye na hote,

sau aansuon ke badle mujhe khushi hi de dete,
to aaj yun gham ke baadal chhaye na hote,

gar hota pata mohabbat ki raho me,aise bhi mod aayenge,
to humne chahkar bhi kabhi yeh raste apnaaye na hote,

mere ashko ko tumne mehez paani karaar de diya,
pata hota to aaj yun motiyon ke sailaab bahaye na hote,

tumhare jaane ke baad pal-pal ye gham hota hai,
ki meri zindagi me kaash........tum kabhi aaye na hote........

Maar Jaane De.........

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De

Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De

Kitabon mein mere fasaane dhundhte hain

Kitabon mein mere fasaane dhundhte hain
Nadaan hain, guzre zamane dhundhte hain
Jab woh the, talaash-e-zindagi bhi thi
Ab to maut ke thikane dhoondhte hain
Kal khud hi apni mehfil se nikala tha
Aaj hue se diwane dhundhte hain
Musafir bekhabar hain teri aankhon se
Tere shahar me maykhane dhoondhte hain
Tujhe kya pata E-sitam dhaane wale
Tere diye zakhmon me pyar ke nazraane dhoondhte hain
nikal aate hain ashq hanste hanste
hum to rone ke bahane dhoondhte hain

Rone Nahi Deta

Rona bhi jo chahen to wo rone nahi deta
Wo shaks to palken bhi bhigone nahi deta
Wo roz rulata hai hame khwab me aakar
Sona bhi jo chahen to sone nahi deta,
Ye kis ke ishare pe umad aye hain baadal
Hai kaun jo barsat bhi hone nahi deta
Aata hai khayalon me mere kaun ye aksar,
Jo muzhko kisi aur ka hone nahi deta,
Ik shakhs hai aisa meri basti me abhi tak
Jo bojh akele muzhe done nahi deta,
Mai hoon ke bahaata hoon teri yaad me aansoo,
Tu hai ke ashkon ko pirone nahi deta,
Wo chehra ajab hai jise paakar mai abhi tak,
Khona bhi chahoon to khone nahi deta
Thame hue lahron kee husn-e-baag koi too,
Sahil ko samandar me doobone nahi deta..

Jab Raat K Tanha Lamhon Mein

Jab Raat K Tanha Lamhon Mein
Koi Aahat Mujh Se Kehti Hai
Is Dil Mein Halchal Rehti Hai
Koi Jugnu Pass Se Guzre To
Koi Baat Halak Se Nikle To
Main Khud Se Ulajhne Lagta Hon
Phir Jaane Kya Kya Kehta Hon
Phir Yaad Uski Aati Hai
Phir Pal Do Pal K Lamhe Ko
Yeh Sans Meri Ruk Jati Hai
Ek Sholah Dil Mein Bharakta Hai
Woh Dard Sehar Tak Rehta Hai
Phir Weham Mujhe Yeh Kehta Hai
Koi Mere Dil Mein Rehta Hai
Koi Mere Dil Mein Rehta Hai..

Fark sirf itna sa tha

Fark sirf itna sa tha…

Uski doli uthi mera janaja utha,
phool us par bhi the, phool mujh per bhi the,
mehfil waha bhi thi, log yahan bhi the,
uska hasna wahan, inka rona yahan,
saheliyan uski bhi thi, dost mere bhi the,
qazi udhar bhi tha, moulvi idhar bhi tha,
woh saj ke gaye, mujhe sajaya gaya,
woh uth ke gaye, mujhe uthaya gaya,

farq sirf itna sa tha..
use apnaya gaya aur mujhe dafnaya gaya.

Monday, 18 July 2011

Menzer e khewab tha kebhi nezaro ma na dekha

Menzer e khewab tha kebhi nezaro ma na dekha, 
Aesa koi menzir pehlay kebhi khewabo ma na dekha, 

Ajeb sa noor tha us shekhs kay chehray pay, 
Aesa kebhi hum nay sitaro ma na dekha, 

Us ki sanso ki mehek thi k feqt bab e jenet ho khula hua, 
Aesa aser hum nay kebhi ghulabo ma na dekha, 

Us ki zulfain thi k feqt aqdas ki jhelek, 
Aesa hijab hum nay kebhi sat hijabo ma na dekha, 

Us ki jheel si ankho ma doob janay ka men hota tha, 
Aesa to kebhi temena k serabo ma na dekha, 

Us ki guftugu ma b kuch ajeb sa nasha tha, 
Aesa kebhi hum nay sherabo main na dekha, 

Syed' kyu na phir do pel ma hi ishq ker bethay, 
Aesa shekhs to pehlay hum nay kebhi kitabo ma na dekha...

Khuwabon ki dehleez pe sona acha lagta he

Khuwabon ki dehleez pe sona acha lagta he. 
Kuch lamhon ko us ka hona acha lagta he. 

Khel khel min jiwan bhar k dukh mit jate hen. 
Kho kar pana , pa kar khona acha lagta he. 

Dil walon ko dekh kar dil aise khush hota he. 
Bache ko jis trah khilona acha lagta he. 

Hijar ka mosam ho or koi aas na baqi ho. 
Palkon min tab ashk pirona acha lagta he. 

Kabhi kabhi dil bhar aata he hanste hanste bhi. 
Kabhi kabhi muh pher kar rona acha lagta he

Sunday, 17 July 2011

May Be Its ME That I Am Searching For

I aM A lOnElY RoAd oF BrOkEn dReAmS,, ItS A BoUlEvArD tHaT I Am sEaRcHiNG FoR 
tHeSe sTaRs r aLl sO DuLl iTs a mOoN ThAt I Am sEaRcHiNg For.. 
HaPpInEsS Is sO AnGrY At mE,, ItS A LiFe tHaT I Am sEaRcHiNg fOr,
tHeRe iS A CrOwD ArOuNd mE At aLl tImEs iTa a fRIeNd tHaT I Am sEaRcHiNg fOr,
mY LiFe iS JuSt lIkE A PaTh,, iTs a dEStInAtIoN ThAt i aM SeArChInG FoR,
DoNt kNoW WhAt iS It tHaT I HaVe lOsT,, MaY Be iTs "ME" tHaT I Am sEaRcHiNg fOr,

If I could catch a rainbow

If I could catch a rainbow…
I would do it just for u…
and share with u its beauty…
on the days u r feeling blue
If I could build a mountain
you could call your very own,
a place to find serenity,
a place to be alone.
If I could take your troubles
I would toss them in the sea,
but all these things I’m finding
are impossible for me.
I cannot build a mountain
or catch a rainbow fair,
but let me be what I know best,
a friend who’s always there.

You’ve Touched Me

You’ve Touched Me
.

Don’t know how to explain it
Can’t really put it into words
You’ve touched my life in so many ways
You never cease to amaze me.
.
I don’t know what the future holds
I can’t pretend that I do
I just know beyond a doubt
I always want you around.
.
Whether we stay the closest of friends
Or I become the love of your life
Or maybe even both occurs
As long as your in my life I can smile.
.
Something about you makes me smile
Not just with my mouth
And not just with my eyes
But all the way to my soul.
.
Thank you for what you are to me
For being who you are
And adding happiness to this life
And giving me a reason to smile.
Sapna Kabhi Sakar Nahi Hota Mohabbat Ka Koi Aakar Nahi Hota
Sub Kuch Hojata Hai Is Dunya Mein Magar
Dubara Kisi Se Sacha Pyaar Nahi Hota…

Wajood Ki Talash

Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gaya
Jo Puri Na Ho Kabhi Aisi Aaas Chor Gaya
Yehi Karam Nawazi us Ki Mujh Pe Kam Hai Kya
Ki Khud To Door Hai Yadein To Pas Chor Gaya
Jo Khawhishen Thi Kabhi Hasraton Mein Dhal Gayi Ab
Mere Laboon Pe Wo Eik Lafz Kash Chor Gaya
Ye Mera Zarf Hai Ik Roz usne Mujh Se Kaha
Ki Aam Logon Mein Eik Tujh Ko Khas Chor Gaya
Baharon Se Mujhy Isi Liye To Nafrat Hai
Inhi Ruton Mein Mujhe wo Udass Chor Gaya!!

Es Dasht Ke Sehra Ko Samandar Kar De

Es dasht ke sehra ko samandar kar de,
Yaa meri ankh ke har ashk ko pathar kar de !!

Ae khuda mein or nhi kuch tujhse mangta,
Meri chaddar mere pairon ke braber kar de !!

Mujhe ghair na le ye aatish-e-duniya kahin,
Mujh par apni rehmat ka saya kar de !!

Mujhe khaak na kar de meri hasti ka ghuroor,
Mujhe mere nafs se mou’tabar kr de !!

Ay khudda meri duaoun me wo asar kar de,
Mangu me tujhse qatra..

Or TU
Samandar kar de !!!!

Latest Tricks Update